Saturday, February 26, 2005

Intezaar

Intezaar kiska hai....
saamne tumhare aane ka
yaa tumko bhool jaane ka

Intezaar kaisa hai....
nadiya ko aagosh-e-dariya ka
yaa chaand ko savere ka

Intezaar kyon hai....
afsaana-e-ishq banne ka
yaa ek baar maut ki baahon mein jee lene ka

Intezaar to tab bhi tha jab hum hum hi the
Intezaar aaj bhi hai jab hum hum na rahe

Imtihaan mera hai ya tumhara


Dil dena to ek bahana hai

Tair paongi, beh jaongi kya main
Ya sahara tumhara dhoondte dhoondte doob jaongi aaj main

Sochti hun ki dil dena to aasaan tha
Imtihaan to hai mohabbat nibhane ka

Udne ka vaada kiya hai khud se
Dekhna hai ki falak paar jaa paongi kya pyaar mein

Aasan tha iss raah par pehla kadam rakhna
Manzi tak chal paongi, ladd paongi kya apne hi darr se

Gar mohabbat mujhko hai to ishk tumko bhi hoga
Dil bachate bachate deewaron mein khudko na chunwa dena

Imtihaan mera hai ya tumhara
Dil dena to ek bahana hai