Chitra Aurat Ka
Nischal chehra, jheeni si muskaan
aankhon mein machalta hai pyaar ka ambaar
thirakti choti, sangat dete paon
yeh kudrat ka karishma hai
ya mausam – e – bahaar
palke jo uthi, sihran si daudi fiza mein
kanke jo kangan, aalaape raag purvai bhi
sarke jo aanchal, dole patang mad-masti mein
yeh kavi ki kalpana hai
ya maalik ki ankit tasveer
rachana kisi ki bhi ho,
hai to chitra aurat kii

1 Comments:
Try reading this --
http://braveheart-blog.blogspot.com/2005/06/monologue-iii.html
It'd be better if you also read the monologue before that.
This is a much more malicious take but it does have something to say!
-- Akshaya
Post a Comment
<< Home